Showing posts with label Urdu Long Poetry. Show all posts
Showing posts with label Urdu Long Poetry. Show all posts

koi din gar zindagani aur hai apne ji mein hamne thani aur hai


koi din gar zindagani aur hai 
apne ji mein hamne thani aur hai 

atish-e-dozakh mein ye garmi kahan 
soz-e-gam hai nihani aur hai 

barha dekhin hain un ki ranjishen 
par kuch ab k sargirani aur hai 

dek khat munh dekhta hai namabar 
kuch to paigam-e-zabani aur hai 

qata-e-amar hai aksar nujum 
wo bala-e-asmani aur hai 

ho chukin "Ghalib" balayen sab tamam 
ek marg-e-nagahani aur hai

Wo Kehti hai Suno Jana Muhbbat Moom Ka Ghar Hai


Wo Kehti hai Suno Jana
Muhbbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko

Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho Tu Ho
Muhbbat Ho Nai Sakti

Wo Kehti Hai Sada Aisay He
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nai Sakti

Main Kehta Hoon
Muhbbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Muhbat K Siwa
Kch b Nai Ata

Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nai Hai Ab

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Buht Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Muhbbat Main
Judai Saath Chalti Hai

Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye

Main Kehta hoon
Kabhi Ais Baat per socha nai main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain


wo kehti hai tumhien muj say
muhbbat ais kader kio hoon
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon

main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi

wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kio ho
keh main khud ko buht
keemti mehsoos kerti hoon

main kehta hon
Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon

wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay
keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhbbat hai

main kehta hoon
muhbbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi muj say
tumhari baat kerti hai

wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darta ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain

Main kehta hoon
yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya

wo kehti hai
Atif ji buht baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
buht he shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai or
lab khamosh rehtay hain

Janay Yeh Kesa Rishta Hai


Janay Yeh Kesa Rishta Hai

Yeh Kaisa Bandhan Hai?
Main Akser Sochti Hoon,

Kiya Rishta Hai,

Mera Tum Say

Aisa Kia Hai Tum Main,

Jo Mujhay Tum Say Bandhay Howa Hai,

Kiya Yeh Pyaar Hai.

Ehsaas Hai?

Dhokha Hai?

Ya,

Aziyat Hai?

Janay Kesa Rishta Hai?

Jis Main Wafa Nahi Jafa Hai,

Jis Main Pyaar Nahi,

Aziyat Hai,

Jis Main Tum Nahi,

Tumhara Feraib Hai,

Janay Main Kyun

Tum Say Dorr Ho Nahi Paati,

Tumhara Har Teer Sahi Jaati Hoon,

Tumhari Har Baat Mera Dil Ko Cheer Deti Hai

Tumhari Har Aziyat Mujhay Qabool Hai,

Janay Yeh Kesa Rishta Hai,

Teri chah main hadd say guzar jayoon ga ek din


Teri chah main hadd say guzar jayoon ga ek din....
piyar hota hay kia yeh dikhlayon ga ek din......... ..

teri sangg-dili ko sehtay sehtay main,,,,
apni jaan say guzer jayoon ga Ek din.....

apni chahtain sari tujh pay waar kay ,,,,
piyar karna tujhay bhi sikhaoon ga ek din.....

jee na pay gi tu bhi ho kay juda mujh say ,,,,,
aisa piyar tujh say kar jayoon ga ek din....

andhairon main dhondte rah jaiy gi mujh ko ,,,
aisi BAY-RUKHI dikhlaon ga ek din......... ...

kho kay mujh ko bohat pashtay gi sanam tu ,,,,
wafa aisi tujh say kar jaoon ga ek din.........

aisi deewangi say chahoon ga tujh ko ,,, ,,,,
bhool jaoo gi tum bhi sara jahan ek din......

Jaan Teri Bhi Luboon Pay Aaa Jaye Gi ,, ,,
Ban Kay Khak Jab Matti Mai Mil Jaoon Ga Ek Din

Bus Aik Shaam Day Do Mujhay Payar Main Dhalti Hui


Bus Aik Shaam Day Do Mujhay Payar Main Dhalti Hui
Phir Sham Usko Main Kahoon Ya K Kahoon Main Zindagi

Payar Ho Challka Hua Teri Niggah K Jaam Se
Surmaai Sa Phelta Ho Rang Uffaq Per Shaam Se
Bazo’oun Ki Qaid Main Ho Ik Badan Simta Hua

Khamoshi Main Goonjti Ho Do Dilon Ki Ik Sada
Ho Ulajhti Saans Main Jesay Shara’rat Saans Ki
Rooh Ko Choonay Lagay Jesay Hararat Saans Ki

Hath Main Ho Chooriyon Ki Dheemi Dheemi Si Khannak
Madham Madham Roshni Main Narm Anchal Ki Dhannak
Hont Hoon Tere Gulaabi Chalki Chagal Ki Tarah

Surmaai Si Phail Jaye Shaam Kajal Ki Tarah
kash So Jao Kabhi Tum Rakh K Sar Aghosh Main
Doob Ker Ankhon Main Teri Ham Rahain Na Hosh Main

Kaash K Mujhko Atta Kar Do Koi Aisa Hi Kal
Kaash Tham Jain Wo Lamhay Or Tham Jain Wo Pal
Wassal K Lamhay Atta Kar Do Mujhay Ik Din Kabhi

Yoon Milain Tum Se K Phir Na Hoon Juda Tum Se Kabhi
Phir Chalay Janay Ki Jana! Baat Na Aye Kabhi
Buss Aik Shaam Day Do Phir Raat Na Aaye Kabhi

apnay asool yun bi kabhi tornay paray


apnay asool yun bi kabhi tornay paray
uski khata thi hath muje jornay paray

aya na jab qarar dil-e-be-qarar ko
yadoo kay rukh tumhari taraf mornay paray

un ko to meri yaad bhi na ayee bhool ker
apnay paraye humein jin kay liye chornay paray

woh shahks hud bara ba-asool tha
humein apnay asool jis kay liye tornay paray!!!

abhi kuch dair baqi hai khizan ke beet jane mein


abhi kuch dair baqi hai
khizan ke beet jane mein
gulon ke muskurana mein
khushi ke geet gane mein
baharon ke zamane mein
abhi kuch dair baqi hai
main tum ko bhool jaon ga
na tum ko yaad aaon ga
main tum se dur reh kar bhi
tumhen ji kar dikhaon ga
tumhen maloom hai lekin
ye sab main kar na paon ga
ke tum ko bhool jane mein
abhi kuch dair baqi hai

main lamhoo ko waqt ki pukar daita hoon


main lamhoo ko waqt ki pukar daita hoon
isi lagan mein kayee shamain guzaar daita hoon

main yunhi her eik say be-rabta nahi milta
her shahks ko us ka mayaar daita hoon

main gam ki kashti ko dabona nahi chahta
bho'j bher jayee to kuch utaar daita hoon

khushiyaan koi mangay to muft daita hoon
gam mangay koi to udhaar daita hoon

badla laina meri fitrat mein nahi
khizaan kay badlay bahaar daita hoon!!!

Na aate khud kabhi Hamein to bulaya Hota


Na aate khud kabhi Hamein to bulaya Hota 
Dil mein hai jo baat kabhi Hamein bhi bataya Hota 


Hum ne bulaya tha tumhein kayi baar Sanam 
per tum na Aaye 

Mohabbat se na sahi nafrat se hi Hamein 
kabhi bulaya Hota 


Yaadein leker jee rahe hain hum Teri 

Aye Bewafa Sanam 
Gham to bohat diye tu ne kabhi 

khushi se bhi Hamein Nawaaza Hota 

Jis tarha jal rahi hoon mai is Mohabbat ki aag Mein 
Kaash tu ne bhi kabhi khud ko is aag mein jalaya Hota 

Khud to jee rahe ho khushi se bhula ker Hamein 
Aaye Zalim ye bhoolne ka hunar kaash Kabir 
ko bhi sikhaya Hota

Lagzashoo say mawra tum bhi nahi mai bhi nhi


Lagzashoo say mawra tum bhi nahi mai bhi nhi
Dono insaan hain Khuda tum bhi nahi main bhi nahi

"Tum Mujhe" aur main tumein ilzaam daity hain magr
Apnay ander jhanktay tum bhi nahi main bhi nahi

"Maslehat" nay ker dia paida dono mein ikhtilaaf
Werna fitrat kay buray tum bhi nahi main bhi nahi

Mukhtalif simtoo mein dono ka safr jari hai
Ik lamhe ko ruke tum bhi nahi main bhi nahi

Chahtay dono boht eik dosray ko hain magr
Yeh haqeeqat mantay tum bhi nahi main bhi nahi

Usay barishoo nay chura liya kay woh badloo ka makeen tha


Usay barishoo nay chura liya kay woh badloo ka makeen tha
Kabhi mur kay yeh bhi to daikhta kay mera wajood zameen tha

Woh hi eik sach tha aur us kay baad sari tuhmatain jhoot hain
Meray dil ko poora yaqeen hai kay woh mohabbtoo ka ameen tha

Usay shok tha kay kisi jazeeray pay us kay naam kay phool hoo
Mujay payar kerna sikha gaya mera doost kitna zaheen tha

Kabhi sahiloo pay phiroo gay to sippiyaan hi tumein bataye gi
Meri ankh mein jo simat gaya woh ashk sab say haseen tha...!!!

Hum ko Lota Hai Usi Shehr Ne Ae Jan E Wafa


Hum ko Lota Hai Usi Shehr Ne Ae Jan E Wafa
Jis Ki Galion Mein Mhabat Ka Kuch Hisab Na Tha

Woh Jo Rehte Thay Mere Sath Hamesha Din Bhar
Un K Mazhab Mein Wafaon Ka Koi Baab Na Tha

Wo Jo Ankhon Mein Mhabat Ko Liye Phirte Thay
Un K Dil Mein Thee Woh Nafrat K Kuch Hisab Na Tha

Mein Ne Jisko B Musebat Mein Maseha Jana
Jo Diya Usne Bara Us Se Kuch Azab Na Tha

Mjhe Khayal Tha Ye Log Mere Apne Hein
Mgr Wahan Pe To Aisa Koi Rewaj Na Tha

Koi umeed jo hoti tere lout aane ki


["WASI SHAH"]

Koi umeed jo hoti tere lout aane ki...

Phir na hoti aisi halat dil dewane ki...

Mein to har haal mein khush rehne ki justju mein rahe...

Na gai teri aadat wo sataane ki...

Zindagi jabr-e-musalsal ki tarha kaat rahe hon...

Nahi deta koi dua bhi mar jane ki...

Tere sang beeta har lamha yaad aata hai...

Jab bhi koshish ki tujhe bhulane ki...

Ab to aksar yehi sochte rehte hun "Wasi"

Tujh ko mangon ya mangon dua mar Jane ki....

Chand dhal raha hay

چاند ڈھل رھا ھے

سوچو تو وہ ساتھ چل رھا ھے
دیکھو تو نظر بدل رھا ھے
ھم بھی تیرے بعد جی رھے ھیں
اور تو بھی کہیں بہل رھا ھے
سمجھا کے گئی ھیں ابھی سکھیاں
اور دل ھے کہ پھر بھی مچل رھا ھے
ھم ھی برے ھوں گے کہ تیرا
معیار وفا ھی بدل رھا ھے
پہلی سی روشنی نہیں اب
کیا درد کا چاند ڈھل رھا ھے

Yahi Bachat Hai Meri Aur Yehi Kamaya Hai


Yahi Bachat Hai Meri Aur Yehi Kamaya Hai,
Mahabbaton Mein Khasara Bohat Utthaya Hai...!

Ye Jaan Ker Bhi Ke Tu Sirf Ek Saaya Hai,
Hamesha Tere Ta'aaqub Mein Khud Ko Paya Hai...!

Wo Jis Ko Dekh Ke Ta'beer Ki Hawas Na Rahi,
Tamaam Umar Usi Khwaab Ne Rulaaya Hai...!

Mita Mita Sa Kisi Aarzo Ka Naqsh-e-Qadam,
Mujhay Puraney Muhalley Mein Kheench Laya Hai...!

Hamarey Paish-e-Nazar Tha Wo Multaji Chehra,
So Hum Ne Apni Khushi Se Fareb Khaya Hai...!

Hamarey Khoon Ke Cheenttey Padhey Hain Lafzon Par,
Ghazal Mein Tab Kahin Ja Kar Ye Rung Aaya Hai...!

Salaamati Ka Koi Raasta Na Tha Raahi,
Mujhay Kisi Ki Duaoon Ne Phir Bachaaya Hai...!!

Zakhm Muskurate Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par


Zakhm Muskurate Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par...
Dard Bhool Jaate Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par...

Shabnami Sitaaron Par Phool Khilne Lagte Hain,
Chaand Jhilmilata Hai, Ab Bhi Teri Aahat Par...

Umar Kaat Di Lekin Bachpana Nahi Jata,
Hum Diye Jalaate Hain Ab Bhi Teri Aahat Par...
Teri Yaad Aaye To Neend Jaati Rahti Hai
Hum Khushi Manaate Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par...

Ab Bhi Teri Aahat Par Shabnam Sharmaati Hai,
Khwaab Gungunaate Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par...

Tere Hijr Me Hum Par Ik Aazab Taari Hai,
Hairaan Pareshaan Reh Jaate Hain, Ab Bhi Teri Aahat Par...

Ab Bhi Teri Aahat Par Aaaaaas Laut Aati Hai,
Ashq Hum Bahaate Hain Ab Bhi Teri Aahat Par....

tu door hua mujhse ke ab paas bhi nahi lagta


tu door hua mujhse ke ab paas bhi nahi lagta..
teri kami mein ab kahin tera ehsaas bhi nahi lagta..
mujh jaise hai ab laakhon , jahan mein tere..
phir main kyun ab tumhe khaas lagu..
tumne khushiyan kabhi mujhe itni di thi , ki aaj..
tujh ko khone ka dil mein zara sa ehsaas bhi nahi lagta..
khuda ne kuch yun door kar diya tumhari chahat se mujhe..
ke mujhe ab na rahi koi khwaish na rahi koi chahat..
ab toh zindagi jeena achha bhi nahi lagta..

Tere Dil Mein Jo Basa Hai, Main Woh Ek Ehsaas Hoon,


Tere Dil Mein Jo Basa Hai,
Main Woh Ek Ehsaas Hoon,
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon....

Yeh Naa Soch Ke Teri Khamoshi Ne Mujhse Kuch Naa Kaha!!!
Meri Mohabbat Alfaazo Ki Mohtaj Nahi,
Main Tere Dil Ki Awaaz Hoon!!
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon.....

Meri Pehchaan Tujhse Hi Hai,Teri Pehchaan Bhi Mujhse,
Tu Agar Jism Hai To Main Libaaz Hoon,
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon....

Tujhko Tujhse Hi Churaa kar Mehfoos Rakha Hai Apne Dil Mein,
Tere Bin To Main Jaise, Ek Toota Hua Saaz Hoon!!!
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon....

Jab Bhi Main Tanha Rehti Hoon,
Meri Har Soch Mujhse Tera Hi Zikar Karati Hai!!!
Tu Jo Saath Hai To Mehsoos Hota Hai Aksar,
Main Bhi Kuch Khaas Hoon..
Door Rehkar Bhi Main Tere Paas Hoon....

Tasveer Ki Koi Zubaan Nahi Hoti,
Aur Mohabbat Ki Umar Nahi Hoti,
Par Phir Bhi, Kabhi Zindagi Ke Panho Ko Palatkar Dekh,
Jo Bhuj Naa Paaye Mohabbat Mein,Main Waisi Ek Pyaas Hoon!!!
Door rehkar Bhi Main Tere paas Hoon....

Tere Jazbaaton Mein Bikhar Bhi Jaau To koi Gham Nahi!!!
Main Hi Tera Humsafar Hoon, Main Hi Humraaz Hoon..
Door rehkar bhi Main Tere Paas Hoon...


Darkness falls on me like rain....
just
one drop at a time....


Mere Dil Mei Tu Hi Tu Hai Dil Ki Dawa Kya Karu


Mere Dil Mei Tu Hi Tu Hai Dil Ki Dawa Kya Karu
Dil Bhi Tu Hai Jaan Bhee Tu Hai Tujhpe Fida Kya Karu

Khud Ko Khoke Tujhko Paakar Kya Kya Mila Kya Kahu
Teri Hoke Jeene Mein Kya Aaya Maza Kya Kahu

Kaise Din Hain Kaise Rate Kaisi Fizaa Kya Kahu
Meri Hoke Tune Mujhko Kya Kya Diyaa Kya Kahu

Meri Pehlu Mein Jab Tu Hai Phir Main Dua Kya Karu
Dil Bhi Tu Hai Jaan Bhee Tu Hai Tujhpe Fidaa Kya Karu

Hai Ye Duniya Dil Ki Duniya Milke Rahenge Yahan
Lutenge Hum Khushiya Har Pal Dukh Na Sahenge Yahan

Armano Ke Chanchal Dhaare Aise Bahenge Yahan
Ye To Sapno Ki Jannat Hai Sab Hi Kahenge Yahan

Ye Duniya Mere Dil Mein Basi Hai Dil Se Juda Kya Karoon
Dil Bhee Tu Hai Jaan Bhee Tu Hai Tujhpe Fidaa Kya Karoon

Yeh Shiishe Yeh Sapne Yeh Rishte Yeh Dhaage

Yeh Shiishe Yeh Sapne Yeh Rishte Yeh Dhaage
Kisse Kya Khabar Hai Kahaan Toot Jaayein
Mohabbat Ke Dariya Mein Tinke Wafaa Ke
Na Jaane Yeh Kiss Mod Par Doob Jaayein

Ajab DIL Ki Basti Ajab DIL Ki Waadii
Har Ek Mod Mausam Nayii Khwaahishon Kaa
Lagaaye Hain Ham Ne Bhi Sapnon Ke Paudhe
Magar Kya Bharosa Yahaan Baarishon Ka

Muraadon Ki Manzil Ke Sapnon Mein Khoye
Mohabbat Ki Raahon Pe Ham Chal Pade The
Zaraa Door Chal Ke Jab Aankhein Khulii To
Kadii Dhuup Mein Ham Akele Khade The


Jinhein DIL Se Chaaha Jinhein DIL Se Pooja
Nazar Aa Rahe Hain Wahi Ajnabi Se
Rawaayat Hai Shaayad Yeh Sadiyon Puraani
Shikaayat Nahin Hai Koi Zindagi Se