K Main Tujhay Bhool Jaoon
Aaj Dil Buhat Ghabraya
Main Nay Us Ko Yeh Samjhaya
Ka Bhoolna Itna Asaan Nahi Hai
Tu Agar Dil Ki Dharkan Hota
Tu Mera Dil Dharkna Bhool Jata
Tu Agar Sansoon Main Jee Raha Hota
Tu Sansoon Ki Door Tu Hoti Hi Kachi Hai
Tu Agar Khayaloon Ka Markaz Hota
Tu Main Hosh-O-Khird Say Begana Hota
Magar Afsoos
Tu Tu Mari Rooh Ka Humzaad Hai
Us Main Azal Say Lay Kar Abad Tak Abad Hai
Or Rooh Kabhi Fana Hoti Nahin
abhi matti Main Ja Kar Sooti Nahin
abhi Dil Ki Tarhan Rooti Nahin
Sans Ki Door Ki Tarhan Kachi Hoti Nahin
Jab Rooh Say Ta'aluq Toot Sakta Nahin
Aur Khuda Bhi Us Ko Bhool Sakta Nahin
Tu Aye Qarar-E-Dil
Aaj Tu Itna Jaan Lay K
Bhoolna Itna Asaan Nahin Hai.........
0 comments:
Post a Comment