Chehra mera tha nigahen us ki
Khamushi main bhi wo baten us ki
Mere chehre pe gazal likhti gain
Sher kahti hui ankhen us ki
Shokh lamhon ka pata dene lagin
Taiz hoti hui sansain us ki
Aise mausam bhi guzare ham ne
Subhen jab apni thin shamain us ki
Dhyan main us k ye alam tha kabhi
Ankh mahtab ki yaden us ki
Faisala mauj-e-hawa ne likkha
Aandhiyan meri baharen us ki
Neend is soch se tuti aksar
Kis tarah katati hain raten us ki
Dor rah kar bhi sada rahti hai
Mujh ko thame hue bahen us ki ... !!
0 comments:
Post a Comment