karb chehray se maah o saal ka dhoya jaiye
aaj fursat mein kahin beth kar roya jaiye

phir kisi nazam ki tamheed uthai jaiye
phir kisi jisim ko alfaaz mein samoya jaiye

kuch to ho raat ki sarhad mein utarnay ki saza
garm suraj ko samander mein daboya jaiye

itni jaldi to nahi badaltay hongay chehray
gard aalood hain aainay ko dhoya jaiye

maot se khofzadah jeenay se bezaar hain log
iss almiyeay pe hansa jaiye ya roya jaiye..??