Khamoosh neeghaoon mein aa kar tham sa gaya hai woh
Tufaaa jo kabi apnay utao ocharhoo may tha


Sokoot sa cha gaya ha raah pey aaney kay baad
Nasha woh kuch kam na tha jo bahoo may tha


Kis qadr aah bartey thay us dard ko jhelney may
kiya haseen maaza magar uss ghahoo may tha


humain kya khabar thi doobna hamara muqadar hey
garcha kay iq soorak tu apni hi naaoo may tha


bari hi saadgi sey bayan kartey thay woh haal apna
kamal kuch aisa un kay rak rakhoo may tha


zahain kay khoobsuraat darichoo may aab bhi pinha ha
dil kash andaz-e- bayaa aa JANAA jo teray batoon may tha