Hatheli samney Rakhna,
K sab Aanso Giren uss main
Jo Ruk jaega Honton par

Samajh jana k
Wo Hoon main

Kabhi jo Chand ko dekho,
To Tum yun Muskura dena,
Jo chal Jaaye Hawa Thandi
To Ankhein band kar leina
Jo Jhonka Teiz ho sab se
Samajh jana k
Wo Hoon main

Jo zeyada “Yaad” Aaon main
To Tum Ro leina jee bhar k
Agar Hichki koi Aaye
Samajh jana k
Wo Hoon main