khud hi sawaal aur khud hi jawaab sa hun mai
jo naa samjhi gayi kabhi us kitaab sa hun mai

dekh to jaao kareeb se ke naayaab sa hun mai
vaqt ke sehraa maen ubhra saraab sa hun mai

kuch din ka hun mehmaan hubaab sa hun mai
abhi to hun paas tere abhi dastyaab sa hun mai

aankhon se bahte ashko ka sailaab sa hun mai
jo musalsal barastaa raha voh aab sa hun mai

tadbeeron ke banisbat nakaamyaab sa hun mai
bigre huvey nasibon ka jaise hisaab sa hun mai

kahin paayaab hun to kahin sailaab sa hun mai
aseere mauje-zeest ki ravani girdaab sa hun mai

baar baar na kah zaahid ke kharaab sa hun mai
jo na aaunga phir haath voh sawaab sa hun mai

kisi ke dil maen sama jaata apna bhi dard zara
apne hi haale-dil ka khud naqaab sa hun mai

apni hi khushboo se mehroom gulaab sa hun mai
haqiqat ho kar bhi kyon "ADE" khwaab sa hun mai